June 9, 2005

Qayamat Se Qayamat Tak

June 09, 2005 Posted by Vijay , 2 comments
This is the story of a bhajji
Which created trouble in my tummy
And i have written this in hindi
Read along but never get senti

Khaane ke liye jab kya hai poocha
Bola Hotel waale ne hai ek accha
Usse behter koi na dooja
Woh hai Mangalore bajji bola

Ek Bajji nahi khaaya humne
Poore chaar chaar humne khaaya
Dikhe bhi to woh beemar the
Lekin humne bhi thaan lee thi
Dekhte hain kaisi hai yeh bajji


Kal sawere jo utha
Phir kabhi baith nahi paaya
Mein chalta gaya chalta gaya
Par kabhi rok nahi paaya
Madhuri waala woh gaana yaad aaya
Ek do teen waala gaana

Meri bhi haalath kuch aisi rahi
Phir meine jadoo ki dawayee lee
Pehle to bin doodh ke chai peee

Uske baad bhi rok nahi paaya
To meine lomotil dawayee lee
Aur phir meine idli khayee

Uske baad mujhe trip nahi lagaana pada
Ek do teen waala gaana ab yaad na aaya
Mein khush tha kal jab mein sone gaya

Lekin aaj kya utha phir woh na aaya
Ab tak intezaar mein baitha hoon
Lekin woh kabhi nahi aata

Ab to kuch aur hi gaana mujhe yaad hai aaya
Woh prem waala gaana jo hai kisine gaaya
Aati nahi aati nahi .. waala

Lekin apne aap ko tasalli dete hain
Is gaane ke sang hum ummeed karte hain ..
Hum intezzar karenge .. hum intezaar karenge ..
Khuda karein ke .. QAYAMAT HO .. aur tooo .. aaaye..

Head Back Home

2 comments:

Anonymous said...

Tho..Kya "aaj phir khane ki tamanna hai" ??

Vijay said...

ab tak intezaar kiye baitha hoon
lagta hai sachmuch bhayaanak qayaamat aayegi ..

pray for me folks :(